Ghar apna phir bhi anjana sa lagta hai,
Sab apne phir bhi anjane woh lagte hain
Jin raahon ki dastak par umr guzri hai, un raahon ki mitti bhi ab raasta pooch rahi hai
Bus kuch jhuriyon waale haathon ki yaad zehn main bas gayi hai,
Verna mera mulk begana sa lagta hai
Woh aankhein jo bechaini se darwaze ko pakad kar rakhti thi, un aankhon ki nami kuch laapata hai
Woh ungliyan jo khana khilaya karti thi, un ungliyon ki khushki laapata hai
Woh awaaz jisko roz sunte the us awaaz ki narmi laapata hai
Bachi hui hai kuch yaadein, par yaadon ki parchaiyon ki lakeerein lapata hai
Maut ek majma ban gaya hai, yahan kapdon ke rang se gham naapne ka dastoor hai
Dastooron ko barqarar rakhne ka bhi ek ajeeb dastoor hai
Har chehre mein, bus ek chehra dhundte hain
Har jhurri mein bus ek woh jhurri dhundte hain
Mitti kuredte rehte hain ab paitaane baithe baithe
Ek awaaz sunte rehte hain ab beawaaz baithe baithe
Bus ek aas dil mein zinda hai, bus ek baar phir milne ki tamanna hai